CHAPTER 44

309 41 31
                                    

After honouring Vidyashree, the three queens of Ayodhya wanted to serve her with food, but Dashrath didn't give them a chance as he himself enjoyed the opportunity to serve her.

But she only took the least amount from each dish, her plate didn't even have enough food for one person, but she insisted that being a Tapasvini she only needs that much which will keep her alive.

And after the food Dashrath laid bare his concerns in front of her.

"Maine jeevan bhar punya arjit kiye hai. Mere sabhi sanskaar samaye par huye hai. Dharm ke maarg par chal maine Chakravarti Samrat ki upadhi praapt ki. Aur mai yagya mei bhi sakriya roop se bhaag leta hu. Maine Pitru-jano, Gurujano aur Devtao ki bhi puri nishtha se sewa ki hai. Kintu devi, mai nisantaan kyu hu ? Kya mujhse koi chuk huyi hai ?" Dashrath asked.

"Jab jeevan mei satyapurn prayaso ke baad bhi kuch aapke anusaar na ho, toh samajh lena chahiye ki woh Paramatma ke anusaar ho raha hai. Aapke ghar putro ka janm awashya hoga." Vidyashree said.

At that Dashrath and his three queens were delighted. The words of this great tapasvini gave them hope in despair.

"Mere putra honge ?" Dashrath asked with a smiled.

"Aapke kul ke satkarm, aur poorv janam ke satkarmo ke karan aapke ghar 4 varisht putro ka janm hoga. Aapka pratham putra, manushyo mei sabse varisht, Purushottam hoga. Dwitiya putra Bhratra-prem ka saagar hoga. Tritya putra seva-bhaav ki parakashtha aur chaturth putra veerta ki murat. Aapke chaaro putra, trilok mei apni kirti faelayenge. Bharatvarsh ki iss bhoomi ko, punah punya-bhoomi banayenge." Vidyashree said.

"Aho bhagya." Vasisth smiled as Dashrath and his queens joined their hands.

"Aap sahi samaye aane ki pratiksha kare Rajarshi. Aur mujhe aagya de." Vidyashree said standing up.

"Kintu itne jaldi ?" Sumitra asked.

"Devi, kuch samaye aur humare atithya ka anand uthaye aur hume sewa ka avsar de." Kaikeyi said.

"Ha devi. Pata nahi kyu aisa pratit hota hai ki aap humari apni hai. Humari swajan hai." Kaushalya said.

"Nadi ki dhara jab tak Saagar se mil nahi jaati tab tak woh ruk nahi sakti. Mujhe jana hoga. Kintu kya pata kisi din, kisi aur roop mei, aapki swajan ban ke laut aayu ?" Vidyashree said.

"Fir hume uss din ki pratiksha rahegi." Kaushalya said joining her hands.

Vidyashree smiled before leaving as Dashrath escorted her out of the city by himself, to make sure of her safety.

"Aatithya hetu dhanyawaad Rajarshi." Vidyashree joined her hands.

"Nahi. Aatithya swikaar karne hetu dhanyawaad." Dashrath said with a smile.

□□□□□□□□□□□□□□□□□□□□□
A/N

So how did you like the moment of Dashrath and Vidyashree ?

It was wholesome ❤️❤️

Now Vidyashree onto her next destination ! Where again there is certain someone who will make appearance ! 🌝🌝🌝

Now guess 🌝

DO COMMENT OR SOUBALAA MOSI WILL DRAG YOU TO DO WALTZ WITH HER 🌝

HARIHARESHWARI 9 : 𝐆𝐮𝐫𝐮 𝐒𝐚𝐤𝐬𝐡𝐚𝐭 𝐏𝐚𝐫𝐚𝐦𝐛𝐫𝐚𝐡𝐦𝐚Where stories live. Discover now