Adhikaar.

2.2K 141 36
                                    

The responsibility was given to Bondita who was working since morning without any rest. She finally got sometime to rest when Anirudh called her for studying but Bondita politely denied. Anirudh frowned at first but then allowed her as anyone from her face could identify that she was tired.
After resting for an hour ,she got back to work.
Soon the guests started to arrive with gifts and started to bless the couple.
The rasams were going on with full teasing which made the couple uncomfortable.

After all the rituals ended, Kaka had asked the villagers to stop and have the dinner .
Anirudh ,Bondita, Som,Naina were having a conversation when someone heard them and the person spread it amongst the villagers.

Trilochan Kaka was having a conversation with the Mukhya and Maha-Pandit of the village when some people approached them.

Woman 1 - Zamindaar babu , aap se yeh umeed nhi thi.

Man 2- Haan, aap aisa kaise kar sakte hai?

Trilochan kaka- par hua kya hai ? Kya kiya hai humne?

Man 1 - aapne nhi chote maalik ne kiya hai.Par hairaan ki baat yeh hai ki aap ne anumati kaise de di yeh sab karne ki.

Trilochan kaka- saaf saaf bataoge, kya kiya hai Anirudh ne ?

Woman 2 - Arre Anirudh maalik aur Som maalik apni patniyon ko yaani ki aapki bahuon ko vidyalay bhejne ki baat kar rhe hai.

Trilochan shocked - kya ?

Mahapandit- yeh hum kya sun rhe hai, zamindaar babu? Aapke beton ki kahin mati bhrasht toh nhi ho gyi hai na?

Mukhya- aur nhi toh kya? Aree aurtein aur ladkiyan vidyalay jayengi toh ghar kon sambhalega?Hum aadmi?

Trilochan kaka- Anirudhhhh! Somnathhh!

Anirudh and Som came there and said together - Jii Kaka. Batuk with his boudis came there.

Kaka- yeh hum kya sun rhe hai?

Batuk- kaka , aapne jo suna woh aapko Pata hoga na. Dada konse antaryaami hain?

Kaka glared Batuk and Batuk hid himself behind his boudi.

Anirudh- kya hua kaka?

Kaka- Humne suna hai ki tum aur som bondita bahu aur Naina bahu ko vidyalay bhejna chahte ho? Kya yeh sach hai?

Som - Haan sach hai. Kyun kya hua?

Kaka- arre mat maari gyi hai kya tumhari?Aaj tak kabhi dekha hai kya aurton ko vidyalay jaate huye?

Anirudh- Haan kaka , dekha hai.Vilayat mein sqbhi ladkiyan jaati thi.

Kaka- Arre yeh tumhara Vilayat nhi hai Anirudh. Tulsipur hai. Bharat hai. Yahan Aurton ki sima sirf ghar tak hoti hai , Bahar nhi.

Anirudh- issi soch ko toh badalna hai kaka. Ladkiyan kyun nhi jaa sakti Vidyalay?

Kaka- ladkiyan sirf ghar sambhalti hai, bachon ko aur parivaar ko sambhaalti hai. Rasoi ghar ko sambhalti hai ,naaki vidyalay jaake padhai karyi hai.Agar ladkiyan vidyalay gyi ,toh ghar kon sambhalega , hum aadmi?

Bondita from behind- kyun nhi kaka sasoor ji. Aadmi kyun nhi sambhaal sakte ghar ko ? Saari zimmedari sirf aurton par hi kyun? Mardon par kyun nhi ? Ladke Bahar jaake padhai karein,paise kamaye yaa kuch bhi karein,koi kuch nhi bolta par Ladki agar yahi kare toh woh galat ,kharab, kulakshani kyun ho jaati hai.

Kaka- aare aurton ka kaam hi hai puri zimdagi parivaar ko sambhaalna , unki dekhbhaal karna.

Naina- par yeh sab toh padhai ke saath saath bhi toh ho sakta hai.

Barrister Babu - Love or RevolutionWhere stories live. Discover now