A Promise.

1.4K 113 17
                                    

Bondita: Basivi? Matlab?

Woman : Octuber( October) se leke Farbary ( February) tak choti bachiyon ko bhagwaan ko saunp diya jaata hai.

Anirudh, losing his patience: Aap saaf saaf kahengi kaki.

Woman : Krishna bhagwaan se unka vivaah kar diya Jata hai. Devdasi bankar bhagwaan ki araadhna, dekh bhaal aadi , insab ka khayal rakhna padta hai.

Bondita: Kya?

Anirudh and Bondita were shocked to hear what the woman said. Small girls were treated like this.

Anirudh: Mein Bani ko leke aaunga.

Bondita: mein bhi aati hoon.

Kaki: Ruko. Pagal ho gye ho kya? Arre agar Bani ka vivaah Krishna bhagwaan se vivaah hoga toh yeh toh achi baat hai. Punya milega Bani ko. Aisa mauka har kisi ko nhi milta.

Kaveri: Aap pagal ho gyi hai kya kaaki? 8 saal ki bachi hai Bani. Khel kud karne ki umar mein woh sevak ki tarah kaam kare?

Another woman: Bhagwaan ki seva karna koi galat baat hai kya?

Bondita: Nhi galat nhi hai. Par sab cheez ki ek sahi umar hoti hai. Aur Bani ki umar abhi khelne ki padhne ki hai. Naaki kisi ki seva karne ki. Aur bhagwaan se Vivaah karwana yeh kya sahi lagta hai aapko? Choti bachiyan hai woh.

Man : Woh kisi ki bhi Bhagwaan ki seva kar rhi hai. Krishna bhagwaan ki. Jagat pitah hai woh. Unki seva karne se tumhe hi laabh hoga.

Anirudh: Konsi kitab mein likha hai ki Krishna bhagwan ki seva karne liye sirf ek choti bachi ki zaroorat hai? Aur mein aise laabh ka kya karoon jo hume humari beti se door karde.

Man : Bhagwaan ki seva karna Matlab Punya kamana. Apne paer se hi tum iss shubh afsar ko dhakel rhe ho.

Anirudh: Agar iss kisam ke punya ko dhakelna paap hai toh yeh paap hi sahi.
Mein paapi hoon aur humesha Rahunga. Anirudh Roy Chowdhary apne parivaar ko ek aanch tak nhi aane dega.

Woman: Tum galat kar rhe ho Anirudh.

Bondita: Agar yeh galat hai toh galti hi sahi par mujhe meri beti mujhe sahi salamat mere saamne chahiye. Warna mein woh kar dungi jo kisine socha nhi nhi hoga.
To Anirudh: Chaliye Pati Babu.

Anirudh: Haan.

He suddenly looked at Bondita's feet and was aghast. Her feet was bleeding but Bondita cared less.

Anirudh bending down and said touching her feet : Bondita tumhare paer mein chot lagi hai. Tum kaise jaa sakti ho?

Bondita: Yeh chot dard nahi de rha pati babu jitna ki mishti se door hoke mil rha hai.

Anirudh cupped her cheek and said : Bondita mein tumse vaada karta hoon. Mein Mishti ko kuch nhi hone doonga.

Bondita: Par Pati Babu Mishti akele..

Anirudh: Apne pati babu pe bharosa hai na? Hmm?

Bondita nodded and hugged him while Anirudh caressed her back. He indicated Kaveri and said : Bhabi iska khayal rakhna. Aur iske chot pe marham laga dena.

Kaveri nodded and held Bondita by her shoulders.

As Anirudh left , the villagers too left. Arjun had already reached the Mandir with police officer and was waiting for Anirudh.

Kaveri Bandaged Bondita's feet and gave her medicines.

Manav entered with crying face and hugged Bondita.
Bondita confused caressed his back and asked: Manav. Kya hua?

Barrister Babu - Love or RevolutionWhere stories live. Discover now