Close yet Far.

2K 147 30
                                    

Anirudh was standing outside the house, thinking about the incident in the kitchen ,when a boy came and handed him a note.

Anirudh- yeh kya hai.

Boy - dada yeh kisine aapko dene ke liye bola.

Anirudh- kisne?

Boy- Pata nhi . And he ran away.

Anirudh noticed that it would rain any moment. He took an umbrella and went to the directed area as written in the note.

Anirudh- kon hai?kisne bulaya hai mujhe yahan?

Person- meine.

Anirudh- tum? Tum yahan kya kar rhe ho?

Person- kar rhi ho.
The person opened the mask.

Anirudh was shocked to see that the person was a girl. He then remembered the men talking about a krantikaari- woman.

Anirudh- toh tum ho woh krantikaari.

Krantikaari- Haan.

Anirudh- mujhe kyu yahan bulaya,aur naam kya hai tumhara?

Krantikaari- mein kom hoon ,kahan se hoon yeh jaane ki zaroorat nhi hai.

Anirudh- theek hai, mujhe yahan kyun bulaya hai?

Krantikaari- sunna hai ki tum aur tumhari patni haveli chod yahan gaon mein rehne aaye ho. Tum apne aap ko saabit karne aye ho aur yeh tum tabhi saabit kar paoge Jab tum bondita ki school ki fees doge. Kyun?

Anirudh- mere aur meri patni ke baare mein itna sab kuch kaise Pata? Kya chahiye tumhe?

Krantikaari- saath. Saath doge?

Anirudh- kya?

Krantikaari- desh ko azaad karne mein Mera saath doge. Mera bas ek hi sapna hai, apni desh ki aazaadi. Apni patni ki school ki fees aur desh ki aazaadi ka acha mauka hai tumahre paas.

Anirudh- kya karna hai.

Krantikaari- mere saathi ko aazaad. Angrezon ke changul se aazaad.

Anirudh- kaise?

Krantikaari explained him everything.

Krantikaari - kar paoge?

Anirudh- Haan.

Krantikaari- soch lo. Jaan bhi jaa sakti hai.

Anirudh- desh ke liye aur apni patni ke liye mein kuch bhi kar sakta hoon.

Krantikaari- toh theek hai, kal se abhyaas karenge. Lekin..

Anirudh- lekin?

Krantikaari- tum iss baare mein apni patni ko kuch nhi bologe.

Anirudh thought for a while and nodded . The krantikaari left .

Anirudh with a smile - hum jeet ki raaste mei 2 dusra kadam rakh diya hai bondita.

He went to the house and found a worried Bondita.
He thought to scare her but the stars weren't with him and Bondita turned and saw him. He sighed knowing what's coming.

Bondita- kahan the aap? Bina bataye kahan chale gye the?

Anirudh- yehi paas hi mein, bhraman karne gya tha.

Bondita- bata ke jaate. Kitna pareshaan thi mein.

Anirudh- aacha aage se nhi hoga.

Bondita- shotti?

Anirudh- shotti.

Bondita- chaliye khaana khaa lete hain.

Anirudh nodded. Both sat to have dinner. As usual they talked while eating.

Barrister Babu - Love or RevolutionWhere stories live. Discover now