Virah

2.2K 158 151
                                    

##unedited.

Bondita: Dev dada?

Dev : Haan mein tumhara dev dada aur yeh Raghav. Tumhare chote dada.

Bondita: Mein..mein kuch samjhi nhi.

Raghav,emotional : Tu hume bhool gyi kya? Hum tujhe yaad nhi ?

Bondita: Maaf kariyega par mein aapse aaj peheli baar mil rhi hoon. Toh mein kaise pehchaan sakti hoon aapko?

Dev : Hum tumhare hi bhai hain. Yaad karna.

Bondita: Dev dada,maana ki meine aapko dada kaha par iska yeh Matlab nhi hai ki mein apne dada ki jagah kisi aur ko de doon. Kabhi nhi.

Raghav to Dev crying : Dada dekho na yeh hume pehchaan nhi rhi hai.

Dev : shaant ho jao .

Binoy,frustrated : Koi hume batayegi ki yahan kya ho rha hai? Aur tum dono kon ho?

Bondita: Baba aap please inn dono ko dekhiye. Mein pati babu ko dekh aati hoon.

Kaka : Haan bahu jao.

She was again about to step inside the room, when she heard Dev shouting.

Dev : Choti meine kaha na ki tu uss kamre mein nhi jayegi.

Bondita stepped back and turning towards him asked : kya kaha?

Dev : tum uss aadmi se milne nhi jaogi.

Bondita's tearing up : usse pehele..

Dev : kya?

Raghav understood what she was saying and with tearful eyes he said : Choti...

Bondita, tears falling down: Aap dono..Ap dono Lata kaaki aur Mukesh Kaka ke ...

Dev and Raghav franctically nodded .

Bondita moving towards them: kya aap..aap Kalindi dadi ke ..pote hain.

Dev and Raghav nodded.
They widened their arms and asked her : dada ke gale nhi milegi?

Bondita ran and hugged them and cried.

Bondita: dadaa...

Both the brothers cried and caressed her hairs.

But Bondita as if remembering something, pushed them a little and said : Aap log yahan kyun aaye hain.

Raghav, crying: tujhe le jaane aaye hain. Ab ghar chal. Bohot door reh liya tere se.

Bondita: konsa ghar dada? Wahi ghar jahan meri maa aur mujhe zaleel karke nikal tha?

Dev : choti dada ji se galti ho gyi thi.

Bondita, looking at Dev : kaisi galti dada? Unhone meri maa aur mujhe ghar se yeh keh ke nikal diya ki .. ki humari wajah se baba ki..

Trio closed their eyes and let out a sigh.

Dev : dada ji ki galti sudharne ke liye hi toh hum yahan aaye hain.

Bondita: nhi dada. Mera uss ghar mein koi nahi hai.

Raghav crying: yeh kya keh rhi hai tu? Hum tere koi nhi lagte?

Bondita: Mera woh Matlab nhi tha.

Dev : Toh kya Matlab tha choti? Dada ji ke ek galat faisle ke wajah se tu hume bhoolna chah rhi hai. Humse rishta today chah rhi hai. Itni badi ho gyi hai?

Bondita looking away : Raat bohot ho gyi hai. Aap logon ko jaana chahiye.

Dev : hum yahan tujhe liye bin kahin nhi jayenge.

Barrister Babu - Love or RevolutionWhere stories live. Discover now