Care

2K 156 53
                                    

Anirudh and Naina came downstairs only to see that Bondita was standing with a sad and tearful face while Kaka was standing with rage.

Anirudh- kya hua kaka? Aap aise kyun chilla rhe hain.

Kaka- Arre bahu ki Mahavari hai,dekho toh kaise uchal uchal ke ghum rhi hai.

Anirudh- Haan kaka Pata hai ,bondita ki mahavaari hai. Aur agar ghum bhi rhi hai ghar mein toh kya hua?

Kaka- kya hua? Arre ashudh hai bahu abhi. Ghar mein ghum ke pure ghar ko ashudh kar rhi hai.

Anirudh- Naina tum Bondita ko kamre mein leke jao.Aur uske saath wahin rehna.

Naina- jii dada.
She saw that there was a patch of blood on her saree. She sighed and took Bondita to the room.

Anirudh- Bondita ashudh kaise hui ?

Kaka- Arre uske mahine chalu hain. Uske sharir se Ganda khoon nikalta hai.

Anirudh- Aur aapko Pata hai na ,ussi gande khoon ke wajah se aaj hum insaan iss duniya mein hai?

Kaka was stunned to hear Anirudh.

Kaka- Arre humare bhi kuch niyam hain. Kayede hain. Iss ghar mein durgaa maa ki murti hai, bahu abhi ashudh hai agar woh mandir ke andar chali jaati toh uske saath saath hum sab ko paap nhi chadhta kya ? Aise samay pe naahi aurtein ishar udhar ghumti hai aur naahi rasoyi ghar mein jaati hai. Naahi woh Mandir mein ghusti hai aur naahi pooja ki cheezon ko haaath lagati hai. Aur aurtein toh iss baare mein baat tak nhi karti . Tulsi jo ki itni pavitra hai , aaj bahu uske aas paas ghum rhi thi , ab Pata nhi kya hoga.

Anirudh- Acha ek baat batayiye. Aurat ke sharir se jo khoon nikalta hai woh konse rang ka hota hai?

Kaka - laal.

Anirudh- aur Durgaa maa ko chadhaya hua sindoor ?

Kaka- kya hota hai? Laal rang.

Anirudh- toh jab durgaa maa ko chadhaya gya sindoor shudh hai toh , sharir se nikla khoon ashudh kyun?

Kaka was standing in silence and looking at Anirudh.

Anirudh- Apka maana yaa kahun ki aapke anusaar ki aurtein iss samay rasoi ghar nhi jaati , toh agar aurtein rasou ghar nii jayengi toh hum mard khana kaise khayenge?Apke reetiyon ke anusaar toh mardon ko rasaoi ghar mein bhi pravesh karna chahiye. Batyaiye?

Kaka wanted to say but didn't find any words to do so.

Anirudh- Tulsi ,maana ki woh podha bohot pavitra hai par aap log yeh kyun maan rahe hai ki agar ek aurat mahavaari ke waqt uss podhe ke aas paas bhi ghumegi toh woh sukh jayegi?

Kaka- Bass. Humare shastron mein aue niyamon mein jo likha aur kahaa gya hai, hum bas wahi dohra rhe hain. Iske aage hum kuch nhi sunenge.

Anirudh- toh ek baat yeh bhi sun lijiye ,bondita jab chahe jahan chahe wahan ghum sakti hai yaa jaa sakti hai. Yeh uske pati ka nirnay hai. Aur yeh nirnay koi nahi badal sakta.

Kaka and Anirudh stormed out of the hall in opposite direction.

In Bondita's room.

Barrister Babu - Love or RevolutionWhere stories live. Discover now