Chapter 69

916 91 6
                                    

She was just sitting on the couch in her room with tears in her eyes..... she asked everybody else to leave except kartik....... the door was locked and kartik was sitting near her holding her hand and consoling her..... just then something hit her mind and she stood up with a jerk confusing kartik.....

K: kya hua Naira??

N: kartik.... Asthma...... unhe asthma hai.... kaise?? kab?? pehle nahi tha kartik..... mujhe janna hai kartik...... 

K: tum ek kaam karo.... gayu ko bulao..... usse pucho.....

N: hmm...(wiping her tears)

she called Gayu and asked her to come to her room as she wanted to talk about something.....she came and Naira took her inside and again closed the door.....they both sat on the bed while kartik was sitting on the couch.....

N: gayu di aap kabse yaha reh rahe the??

G: Naira.... kya hua?? tu ye kyu puch rahi hai??

N: please gayu di batao na....aap kab se yaha reh rahe ho??

G: tere jane k ek month baad se......

N: kya aapko pata hai ki Mrs. Singhania ko Asthma kabse hai aur kaise pata chala tha?

G: oh..... toh tu finally sunna chahti hai??

Naira nodded......

G: tere ghar se chale jane k baad Mami bilkul toot gayi thi..... na khana khati thi na hi rest karti thi bass poore din tere room mein baithke rooti rehti thi..... teri cheeze sambhal sambhal k rakhti thi..... kam se kam do mahine tak unhone tujhe Udaipur aur aas pass k shero mein dhundha..... lekin tu kahi nahi mili..... but unhone than liya ki vo tujhe dhoondh k hi rahengi.... police ne toh keh diya tha ki tu....ki.....

N: ki kya gayu di??

G: ki tu ab iss duniya mein nahi rahi..... par mami nahi maani..... vo khud tujhe dhundhne nikal gayi..... kaha kaha nahi gayi..... kabhi  Agra, kabhi Lucknow, kabhi Hyderabad, kabhi Kolkata...... aisi koi jagah nahi thi jo vo chhod rahi thi...... at least teen (3) saal tak vo ghar sirf naam k liye aai....... kabhi do din k liye kabhi teen din k liye aati thi fir dubara kisi dusre sheher chai jati thi......  fir ek din mami ki tabiyat achanak se kharab ho gayi...... voh uss time gujrat mein thi..... Mama ji turant unhe wapas lekar aae aur jab unke test hue toh pata chala ki  unhe asthma attack aaya tha.......  uske baad se mama ji ne unka  bahar jana band kawa diya but vo kaha rukne wali thi..... unhone tujhe yahi baithe baithe dhundhna start kar diya..... ye NGO's, orphanage jo vo chalati hai all over India vo unhone tujhe dhundhne k liye start kiya tha ki kahi na kahi unhe tu milegi.... aur dekh tu mill gayi......

Naira was crying heavily till now..... listening to the sufferings her mother went through due her she was devastated....... she was holding the bedsheet in her hand and was crumbling it to reduce her anxiety.......

G: jo tujhe mila hai uski kadar karna seekh Naira..... cheezo ko ignore kana band kar..... ek misunderstanding ki wajah se tune kitna kuch kho diya.... abhi bhi bharosa nahi hai toh kahi aur se bhi jake pooch lena.... koi aur misunderstanding ho toh clear kar lena..... har koi tere jitna lucky nahi hota.....

saying this she left from there.... Naira broke down and now was feeling guilty on her acts..... she was crying heavily...... he immediately took her into a tight hug and rubbed her back to calm her down..... he made her drink some water and calmed her...... but still she was sobbing... there was no confusion now that Akshara loves her a lot and never hated her but there was still a confusion that if she loved her and still loves her than why did she wanted to give her to the police.....

K: dekha Naira.... maine kaha tha na ki Akshara aunty tumse nafrat nahi karti hai..... balki voh toh tumse bohot zyada pyaar karti hai.....

N: mai samajh gayi kartik..... but fir unhone 12 saal pehle mujhe police ko dene ki baat kyu kari thi? maine jaha papa ko bulaya waha bhi vo police ko lekar kyu chali aai?? I know she loves me a lot and I too love her a lot..... mai kehti zarur thi ki I hate her..... but shayad kabhi hate kar hi nahi payi.... mai khud bhi yahi sachti thi aur logo ko yahi batati thi I hate her but I don't.....

K: shh.... Naira.... ab milkul matt rona..... ok....

N:(nodding) kartik tum mere liye ek kaam karoge?

K: ye bhi koi puchne ki baat hai??batao kya karna hai??

N: tum kya police station se ye pata laga sakte ho ki sukanya wale case ka kya hua?? 

K: mai try karta hu.... ek do din mein pata laga k batata hu......

N: hmm.... ab kartik tum jao.... bohot late ho gaya hai.....

K: pakka na Naira?? tum thik ho na?

N: ha kartik..... mai bilkul thik hu..... tum jao.....

K: bye.... I love you.....

N: I love you too......

then kartik went back to Maheshwari  house and Naira went near Akshara's room and saw her sleeping so she went inside and sat beside her for sometime  when no one was noticing.... she was still hesitant so she went back to her room........

here at a third place a man was sitting on a chair in a dark room and was talking to his men.....

M: kya hua uss zameen ka?? abhi tak kyu nahi laa paye tum uske kagzat?? tumhe pata hai na Thakur Rajendr Singh ko intezar karna pasand nahi hai.....

M1: boss vo zameen kisi Akshara Singhania k naam par hai aur vo property bechne k liye ready nahi hai.... uske papers k ek copy Aashram mein hai but waha bhi bohot security hai....

R: matlab ab bass ek hi rasta hai..... hume vo zameen kisi bhi haal mein chahiye aur iske liye hume kisi ko marna bhi pade toh koi dikkat nahi hai.... jaitna jaldi ho sake humare raaste se hatao....

M2: thik hai boss..... humne pata lagaya hai ki vo Udaipur mein rehti hai... hum kal hi Udaipur k liye nikal jaege

R: hmm... jitna jaldi tum kaam karoge utne zyada paise milenge..... toh soch lo tumhe kya karna hai

M1: ok boss....



TO BE CONTINUED..........

So that is it for this chapter guys...... shower your love..... vote and comment if you are liking the chapters.... tell me how do you liked the chapter

will meet you soon with next chapter..... till then keep reading.....keep growing

STAY HAPPY STAY SAFE

Take care

Byeeee

OUR STORY OF LOVE (COMPLETED)Where stories live. Discover now