~TWENTY EIGHT~

42.9K 1.9K 1.3K
                                    

"Nithin ek baar nahi mil sakte kya? Uss bacchi ko dekh. usko humari zaroorat hain." Maa spoke on the phone.

"Aunty aise nahi mil sakte. Kuch dinon mein family round aayega. Aap tab mil sakte hain." Nithin sighed sadly.

"Woh task kyun karvaya unhone? Pagal hain? Dil nahi hain unmein? Emotions nahi hain?" Maa seethed, Preeti was reminded of her own brother looking at her.

"Kyunki Monday ka episode ka TRP ek alag hi level pe tha. Auntyji yeh ek pagal aadmi ko bhi samajh mein aayega ki Sidharth aur Sana ke wajah se unka TRP dugna hogaya hain. Sabki footage inn dono se, Rashi se aur Asad se nikhalti hain. Inn chaaron ke wajah se saara TRP miltha hain unhe, Sid bhai aur Sana the most. Woh log kuch bhi karenge." Nithin said.

"Toh? Usko aise takleef mein daalenge? Aur Sidharth kya kar raha tha? Monday ki episode mein bhi beech mein kuch gaya na?" Maa asked softly.

"Aunty bohot kuch cut hogaya. Sana ko dekh ke mera dil tham gaya tha. Sidharth nahi hota waha pe toh pata nahi kya hojata uske saath. Woh aapke liye aur Shehbaz ke liye bhi roh rahi thi." Nithin said.

"Tu ne dekha?" Maa asked, her stomach dropping.

"Thoda. Sahil ne thoda dikhaya aur thoda bola. Sidharth hain. Aap chinta naa karo." Nithin assured him.

"Shehbaz ko bola?" She asked.

"Haan. Usne thoda dekha." He said.

"Family week kab hain? Usko dekhna hain." Maa said sternly.

"Main boldunga jab call aayegi. Aap chintha math karo, please. I have to go aunty, bye." Nithin pleaded.

"Bye beta. Please kuch kar. Aur jaldi kar." She said, hanging up.

"Maa aap bohot irrational horahe ho. Kaise miloge usse?" Preeti said, trying to help her understand.

"Preeti usko dekha tu ne? Usko inn doh saalon mein itne laad se aur pyaar se rakha. Main jaanti thi ki usne kya kya karne ki koshish ki thi uss waqt. Usko phirse unn sab mein dakhel diya unhone. Ab bas Baghwaan se yahi maangti hoon ki Parag aur unn sab ko thodi akal aajaye. Sab bacche hain, woh ghar bhi aisa hain lekin it's not an excuse to become so heartless. Usko humari zaroorat hain. Main laayi thi usko iss ghar mein aur tab se usko koyi chot pohonchne nahi diya." Maa said, rubbing her face in her hands. It reminded Preeti of her brother again.

"Maine bhi dekha na? Hum sab bohot pyaar karte hain usse. Lekin abhi Sidharth hain waha pe. Yeh ladayi unki khud ki hain abhi. Shehnaz ne usko Rashmi ke time pe sahara diya, abhi woh deh raha hain. Aap tension math lo. Aapne dekha na? Kaise khada hogaya uske saamne woh, woh kaise bahar bhaaga uske peech. Sab kuch nahi dikha lekin agar woh raat ko sahi salamath the, toh theek hi honge. Let them be. You'll meet her in a few days. Aap himmath math haro. Aur Baaz ko call karo. Pata nahi woh kaisa hoga." Preeti said.

Shehbaz avoided talking to anyone since Monday. He cried watching his sister, then he shed a few more tears when he saw her crying for him. It was on Wednesday evening when he finally answered Naina's call.

"Gadha. Kutta. Saale. Phone uthana nahi jaanta tu? Doh dinnonse phatti padi hain meri. Aur college se bhi koyi pick up nahi kar raha hain. Driver ke bina kaise chalega?" She screamed at him as soon as he answered. He let himself smile a bit.

"Tu college mein hain abhi? Aajaun?" He asked.

"Kaha pe hain?" She asked.

Kaun Hain Tu Mera?  - SidNaazWhere stories live. Discover now