Flying To Jorhat.

7.6K 808 58
                                    

    Sana has decided she will stay away from him. And this time she will not let her heart play games with her. Sid has arrived at the airport late. They had to board a flight to Jorhat. Sana was tensed as they would have missed the flight if he was a little more late, then he is now. Sid looked unconcerned. His manager did all the paper work and boarded the plane. Sid had not looked at Sana. It was as if he does not recognise her. Sana liked it. Two can play the game, she thought. He was walking to his seat and Sana and Arun were behind. Other crew members had already left the day before.
Sana: Kya hai yeh Arun jee. Itna late?? Hum flight miss kar dete.
Arun: Ha boss ko thoda time lag gaya.
Sana: Yahi hai tumhare sir ka professionalism??
    Sana did not realised they were just few feet behind Sid and he had heard it. He looked around directly at her.
Sid: Arun zara madam ko samjana ke agar mai professionalism par aa gaya to kya hota hai.
Arun: Are nhi nhi boss, madam ka yeh matlab nhi tha. Aap ke seat vaha hai.... Aap baite na. Aap ko kuch chahiye to aawaz dena. Hum yaha aage he hai.
    Sid looked at Arun, and went and sat on the seat. Their seat was in the front. So Sana and Arun walked passed him.
    Sid had got up with a headache in the morning in Adi's flat. Adi has brought black coffee for him and sat on the chair opposite him.
Adi: Yeh coffee pe aur yaha se nikal. Aur agli baar apni yeh shakal mat dekhna mujhe.
Sid: Kya??
Adi: Tu yeh kya kar raha hai Sid khud ke sath??
Sid: Kya matlab??
    Sid was not looking at Adi. He very well knew, nobody but this man had the guts to show him the mirror.
Adi: Yeh jo faltu ke drame hai na, vo tu apne audience ke leye baccha ke rakh mere sath koshish bhi mat karna.
Sid: Adi yaar......
Adi: Just shut up Sid and listen to me.
     Sid knew Adi was not in the mood for his idiotic excuses, so he went quiet.
Sid: Bol.
Adi: Ek kaam kar. Tu na, chala jaa. Tu jaana chahta hai na?? Kaha?? Ha US. Chala jaa. Arun se mai bolta hu tera ticket karvane ke leye. Tu jaa.
Sid: I'm sorry.
Adi: Yeh jo tu majnu banke har char din ke baad aata hai na, khabardaar agli baar se mere ghar aaya ya mujhe call kiya. Chal nikal yaha se. Teri meri dosti khatam.
Sid: Abe tu to mera kuch zyada he kachra kar raha hai.
Adi: Kachra kar raha hu?? Tu kachra ban gaya hai saale. Tu samjhta kya hai khud ko. Tune kabhi bhi yeh soocha hai ke Maa ko kya feel hota hoga??
Sid: Maa?? Unko kisne kya kaha??
Adi: Sid vo Maa hai. Unko kuch bolne ke zarurat hai?? Vo teri taklif teri pareshani sab dekh rahi hai. Bas unko yeh pata nhi ke tu aisa kyu ho gaya hai?? Char din pehle unka call aaya tha. Mujse puch rahi the ke kya hua hai tujhe. Kyu tu khush nhi hai. Maine kaha ke kuch kaam ka tension hai. Par vo convince nhi hue.
Sid: Adi tune mujhe bataya kyu nhi??
Adi: Tu hosh me hai?? Aadha time ya to tu gusse me hota hai, ya to apne he duniya me. Aur do din se to tu call bhi nhi utha raha tha. Isliye bol raha hu agar tujhe jaana hai to tu jaa. Maa ko mai samjha bhi dunga aur sambhal bhi lunga. Tujhe is tarah dekh kar, mujhe dar hai ke Maa ko he kuch ho na jaaye.
Sid: Aise mat bol yaar. Vo hi mera sab kuch hai.
Adi: Nahi tu kisiko kuch nhi maanta. Tu bahot khudgarz aadmi hai. Maa tujhe dikhai nhi deti?? Teri behne nhi dikhai deti?? Bas apna he rona rote reh tu. Tu decide kar. Agar tujhe yaha rehna hai to thek se reh. Nahi to chala jaa yaha se. Itne saalo se sab jee rahe the. Ab bhi jee he lenge.
Sid: I'm sorry bhai.
    He looked at Adi and Adi knew he meant it.
Adi; Thek hai chal uth. Breakfast karte hai. Kal meri date the kisi ke sath. Usse bhi cancel karna pada, tera yeh dukhda sunne ke liye.
Sid: Hahaha. Itne saalo me tujhse abhi tak koi ladki bhi nhi pati??
Adi: Abe saale yeh patt jaati. Par tune sab kharab kar diya. Maine cancel kar diya aur ab vo badak gayi hai. Chal ab tujhe uske leye mangaya hua raat ka he khaana khilata hu.
    Sana and Zoro had come back from the park. They had, had dinner and after watching cartoon for sometime Sana has taken Zoro to bed.
Sana: Baby mama ko aapse kuch baat karni hai.
    Zoro looked at Sana.
Sana: Mama ko na three days ke leye kuch kaam se bahar jaana hai.
Zoro: Kaha mama??
Sana: Out of Mumbai beta??
Zoro: Fir mai akele kaisi rahunga??
Sana: Kya aap maasi ke ghar rehna chahoge. Fir aap khushi aur Rajbir ke sath khel bhi sakte ho.
Zoro: Accha?? Fir thek hai. But I will miss you.
Sana: I will miss you to mere bacche. And I promise mai jaldi aa jaaungi.
Zoro: Thek hai. Aap tension mat lo. I will manage. I'm a big boy now.
Sana: Yes baby. That you are.
    I will not forgive you for this siddharth shukla. She thought. Sana kissed her sweetheart's forehead and read a bedtime story which she had promised she will. She came to the room when her baby was asleep. Today's incident had made Sana's soul whine in pain. Only she knew how she had acted normal and happy in front of Zoro. That acting has literally exhausted her now. She stood under hot water to ease the stiff muscles. All the fake smiling has made her jaws rigid. She did not knew tears were streaming down her eyes. She had ran behind him today. Not caring what he would think of her. What worse does he have to think about her?? He already have very high regards for her. Her brain laughed at that thought. But the warmth of his body has warmed her heart. His smell was still the same. The Siddharth fragrance she used to call it. Her body grew hot at the thought and she switched the water from hot to cold. But this has to stop baby. Her brain tried to coax her. It is not good for you. Nor for Zoro. Yes it's too dangerous. She has Zoro to consider. She will invite Vishal to dinner once she returns from Majuli. If di thinks she needs a man in her life, why not Vishal. Yes that's final. Vishal it is.
    Sid came home to find Maa sitting in the hall watching something on her mobile. Her expression grim. He came to her and sat on the floor in front of her.
Sid: Kya hua Maa?? Kya dekh rahe ho??
Maa: Yeh teri photo. Isme Tu has raha hai par vo hasi teri aakho tak nhi pahunchti beta?? Aise kyu??
    Sid gave a loud laugh.
Maa: Dekh abhi bhi nhi pahuch rahi hai. Tu khush kyu nhi hai Siddharth. Tu akela kyu hai??
Sid: Mai khush hu Maa. Aapko aise lagta hai. Par ab jo mai aapke paas aaya hu to mai sach me khush hu.
Maa: Siddharth bigadne waala na ho to mai ek baat puchu??
Sid: Ha pucho??
Maa: Tu shaadi kyu nhi karta beta?? Dekh tera bhi parivaar hoga. Bacche honge. Tujhe aise akele dekh kar bahot taklif hoti hai mujhe. Tu yeh raat raat bhar ghar nhi aata. Kahi khoya khoya rehta hai. This is not normal mere bacche.
Sid: Dekho Maa Maine pehle bhi kaha hai aur aaj bhi keh raha hu ke mai abhi ya kabhi bhi shaadi nhi karna chahta.
Maa: Par kyu?? Mujhe bhi to pata chale na??
Sid: Maa mere apne reasons hai.
Maa: Kya kisine tera dil toda hai??
    He looked at Maa and realised Maa knows his plight. There is no use of lying now. He looked away.
Sid: Haa.
Maa: Kon hai vo??
Sid: Vo mai nhi bata sakta. Aur koi fayda bhi nhi hai. Uski shaadi ho chuki hai.
Maa: Fir tu kyu nhi kar sakta shaadi??
Sid: Maa Mai usse bahot pyaar karta tha. Par vo meri nhi hai aur shayad kabhi the he nhi. Par Mai kisi aur ka nhi hona chahta. Isliye please Maa kya hum is topic ko yahi khatam kare?? Thak gaya hu. Ek coffee milegi.
Maa: Thek hai. Jaa tu fresh ho jaa. Mai bhej vati hu.
    Sana was talking to Mahi on the call
Zoro was fast sleep.
Mahi: Tu tension mat le. Zoro mere paas rehega aur mai uska khayaal rakhungi.
Sana: Aap Zoro ke mama ka rakhte ho to kya Zoro ka nhi rakhoge?? Uski mujhe koi tension nhi hai. Bas mai nhi reh paungi uske bagair.
Mahi: Yeh tera outdoor ka program kaise bana. Tu to kabhi aise gayi nhi.
Sana: Ha vo Siddharth ko on the spot information chahiye. Isliye.
Mahi: Tune mujhe bataya nhi ke tu usse pehli office me mili the.
Sana: Vo.....professionally mile the. Aur mere dimaag se nikal gaya.
Mahi: Accha hua tu Siddharth ke sath jaa rahi hai. Mujhe koi fikar nhi hogi.
Sana: Mai Siddharth ke sath nhi apne crew ke sath jaa rahi hu. Aur mai apna khayal rakh sakti hu.
Mahi: Par Sana agar apna koi ho to.....
Sana: Di aap aapke dimag me jo ideas la rahe hai na usse apne paas he rakho.
Mahi: Aree Maine to aise he kaha. Aur agar aisa hai bhi to kya bura hai Sana??
Sana: Di mujhe uske raste wapas nhi jaana hai.
Mahi: Uske matlab??
Sana: Uske nhi uss raste kaha maine. Aap bhi kuch bhi sunte ho.
    And Sana bit her tongue.

You Never Asked  (Completed) Where stories live. Discover now