His Family, His World.

9.9K 1K 246
                                    

      Sana was in Sid's arms. Listening to his heartbeat was giving her some kind of peace. She plans to be in his arms for ever and she knows he wants the same.
Sid: Uske baad kya hua Jaana??
Sana: Jab maine hospital me aakh khuli to Mahi di vaha par thi aur unke sath bhai the. Mahi di gusse se kaap rahi the. Di ne mujhe apne baho me liya aur mai bahot royi. Mera birthday, mere zindagi ka sab se worst din ban gaya. Unhone mujhe kaha ke jab police aaye to unhe sach sach batana. Aur kaha ke vo ab se mere saath hai. Aur promise kiya ke vo mujhe kabhi akele nhi chodenge. Mahi di ko maine saari baate nhi batayi the. Jab Police aayi to maine unhe yehi bataya ke mere husband ne mujhe mara hai. Rohan uss time tak bhaag gaya tha. Vo baad me unhe Punjab me mila. Mahi di mujhe apne ghar le gayi aur mera bahot khayaal rakha. Bhai ne Rohan ko pakad wane ke liye apni jaan lagai the, par pata nhi vo kaise bail par chutt gaya. Kavita ne mujhe kaha ke vo Rohan ka sach jaanti hai aur mujhe Mahi de ko sab saach batane ki salah di. Aur Kavita aur maine di aur bhai ko sab kuch bol diya. Ab yeh sach sirf mai, di, bhai aur Kavita he jaante the. Bhai ne apne lawyer se baat ki. Vo sab usse saza dilana chahte the par mujhe bas uske chungal se bahar nikalna tha. Meri pareshani dekh kar sabne yeh decide kiya ke pehle mujhe divorce dilate hai  aur fir usko saza dilaane ke baare me soochte hai.
     Sid kissed her hair.
Sid: Thank God Mahi tere sath the. Nahi to tera kya hota Jaana... I'm feeling so helpless right now.
     Sana kissed his neck.
Sid: I love you meri Jaan..... Aage kya hua??
Sana: Bhai ki lawyer bahot hoshiyaar the. Unse Rohan se meeting ki aur kaha ke vo mujhe bagair koi complications ke divorce de de, to hum case wapas le lenge. Rohan chalaak tha, par bahot darpok tha. Usse lawyer ne yakin dilaya tha ke agar vo mujhe divorce nhi dega to usse das, baara saal ke saza vo dila kar rahegi. Rohan ko pata tha ke vo bahot badi lawyer hai aur vo mujhe immediately divorce dene ko ready ho gaya. Fir lawyer ne turant proceedings shuru kar diye.
Sid: Fir uss waqt Tu Mahi ke yaha rehne lagi??
Sana: Haa, Di ne mujhe education aage resume karne ko insist kiya. Fir mai college bhi jaati aur uske baad parlour bhi. Bahot logo ne di se mujhe sath rakhne par objection liya, par vo kissi ki nhi pani.
    Sid chuckled.
Sid: Mahi pehle se he aisi hai. Strong headed.... And I love her for that.
Sana: Aur fir mere divorce ke dauraan Tu mujhe mila. Mai kitna tujhse dur rehna chahti the, kitni koshish ki, par mera dil uthna he tere taraf kheecha  chala gaya. Siddharth maine tere alawa kisi aur se kabhi pyar he nhi kiya... Tu hi mera pehla aur aakhri pyar hai.
Sid: Oh God.
     Sid hugged her tighter.
Sid: I'm so lucky Jaana... Iska matlab pehle se tu sirf meri the.... How can I be so lucky yaar?? I'm really so damn lucky. Aur mai yaha hamesha darta raha ke pata nhi tu agar uss... Insaan ke sath kush hogi, ya... Ya usse pyar karti hogi to?? Mujhe tujhse kuch puchne me dar lagta tha... Mai yeh nhi jaan na chahta tha ke tu usse pyar karti the...
Sana: Mere dil ko apne puri zindagi me tere siwai koi pasand he nhi aaya Siddharth.
Sid: Mujhe bhi, meri jaan. Mujhe bhi.
Sana: Tere jaane ki baad hamara divorce ho gaya. Mahi di ke dimaag me usse saza dilwaane ki zidd tab bhi the. Unhone mujhe ek baar bhi uss insaan ke sath akele nhi choda... Vo lawyer ke sath milkar plan he kar rahe the ke, uske marne ki khabar aayi. Bahot bura accident hua tha uska Siddharth.... Pura sar truck ke tyre ke niche aa gaya tha.... Dekhne ke liye kuch baccha he nhi tha..
Sid: Mujhe koi afsos nhi hua sunkar.
Sana: Mai jab vaha uski widow bankar kuch din rahi, tab mere mummy papa aur Shehbaaz mujhse milne aayi. Unhe tab pata nhi tha ke mera aur Rohan ka divorce ho gaya hai.
Sid: Mummy papa ka samaj aata hai. Par Shehbaaz ne teri khabar kyu nhi li??
Sana: Pehle to vo india me nhi tha, aur jab vo aaya to usne mujhe dundne ki bahot koshish ki, par mai nhi mili. Vo to jab Rohan vaha bhag kar Punjab gaya to usko kisi se pata chala aur vaha se usne mera pata nikala. Vo bhi mere divorce ki phase me mera bahot bada support tha.
Sid: Jaana, kya kya saha hai tune yaar....itna kuch sehne ke baad, fir meri nafrat sahi.... Sorry bahot chota word hai baby... Par ho sake to mujhe maaf kar de.
     Sana looked at him and gave him a loving smile.
Sana: Siddharth maine tujhe kaha hai na ke tune mujhse kabhi nafrat ki hi nhi.... Vo teri narazgi the aur beinteha pyar tha... Par Siddharth ek baat sach sach batayega??
Sid: Jaana Tu jaanti hai mai tujhse kabhi jhut nhi bolta.
Sana: Jaanti hu.... Siddharth.... Kya mera past jaan ne ki baad, tujhe ek pal ke liye bhi nafrat ya shikayat.....
Sid: Chup ho jaana ... Tu aise sooch bhi kaise sakti hai?? Tune jo bhi kiya usme teri koi galti nhi the... Uss.... Uss... Kami... Usne tujhe behkaya aur tu ek choti bacchi the uss waqt. Ha tere papa se mujhe shikayat hai. Unhone tujhe aise akela nhi chodna chahiye tha.... Mai apne bacchi ko kabhi koi bhi musibaton me akela chodne ka sooch bhi nhi sakti. Irrespective, uski galti ho ya na ho.
Sana: Kyuki Tu world ka best papa hai.
     Sid chuckled...
Sid: Ha aur baccho ka bigadane ka ilzaam bhi lagta hai mujhe...
Sana: Vo sahi lagta hai..... Siddharth ek baat maanega??
Sid: Meri jaan maang le.
Sana: Make love to me.... Please...
     Sid looked in her eyes with so much love that Sana felt tears form in her eyes. And he made slow and passionate love to her, which made her weep in satisfaction.
     They reached Mahi's place. She opened the door with a broad smile.
Mahi: Thek ho??
    Sid gave her a sad smile.
Mahi: Chalo terrace, par tum dono, Jay hai vaha. Mai coffee banva ke laati hu.
Sana: Di Zovi??
Mahi: Ekdm sukoon se so rahi hai. Koi tension nhi. Chal Tu.
      They went to the terrace. Sana went to Jay and Jay hugged her. He looked at Sid.
Jay: Sab thek hai na??
Sid: Bilkul thek hai.
     Sid said looking at Sana. Mahi came with coffee for them all. Sid took Mahi by her shoulder.
Sid: Mahi mujhse ek promise karegi??
Mahi: Promise?? Kya??
Sid: Mai chahta hu Zovi badi hokar bilkul teri tarah bane. Banayengi meri beti ko teri tarah?? Strong, compassionate and bold...
     Mahi had tears hearing that. She nodded her head.
Sid: Mahi mai zindagi bhar tujhe thank you bolta rahu fir bhi kam hai yaar. Thank you, thank you so much.
Mahi: Maine kaha hai na tujhe, ke tu bas isse khush rakh, fir tujhe mujhe thank you bolne ki koi zarurat nhi.
     Sana went and hugged Mahi and Mahi stroke Sana's back.
      Sid and Sana were sitting in the hall. Sid was changing channels and Sana was playing with his hair.
Sid: Mat kar Jaana...
     Sana did not pay any heed, but continued.
Sid: Bola na mat kar??
Sana: Aree?? Kyu??
Sid: Aise he??
    Sana caught his jaw with her fingers and turned his head towards her, so that he was looking at her.
Sana: Tu mera hai. Aur mera he hai. Aur mai tere sath kuch bhi kar sakti hu. Tu mat bol mujhe kya karna hai, kya nhi.
Sid: Accha?? To bata kya karna chahti hai tu mere sath??
Sana: Room me chal batati hu.
Sid: Sach?? Chal, chal jaldi chal....
Sana: Chup baith....
Sid: Mai to tayaar he baita hu baby...
Sana: Ha pata hai mujhe...
     It was Sana's birthday tomorrow. Sid did not knew what to do?? Will she want to celebrate her birthday?? Sid had called and asked Mahi. Mahi had suggested he take her somewhere alone for sometime and see if she is ready to leave that pain behind.
Sid: Jaana kal mere sath bahar chalegi??
Sana: Nahi...
Sid: Kyu??
Sana: Kyuki main jaanti hu tu mujhe kyu le jaa raha hai.
Sid: To isme haraj kya hai baby?? Dekh tu sirf chal. Tu jaisa chahe hum vaisa karenge.
Sana: Siddharth mujhe nhi celebrate karna apna birthday...
    Sid got a bit upset.
Sid: Thek hai. Fir aaj se hum log kisi ka bhi birthday celebrate nhi karenge.
Sana: Yeh galat hai Siddharth.
Sid: Sana mai tujhe birthday celebrate karne ke liye majboor nhi kar raha. Par tu....
Sana: Siddharth Tu meri majburi nhi samaj raha. Mujhe darawne sapne aate hai uss baare me, mostly uss din.
Sid: Aur jab vo sapne aaye, aur tu dar jaaye to tere kareeb, bahot kareeb mai rahunga. To Tu tension mat le. Maine kaha na hum kuch khaas nhi karenge. Bass akele kahi chalte hai. Aur jo tera mann ho vahi karte hai. Aur baby hame jo tere past me hua hai usse bhulne ke koshish karni chahiye na??.
Sana: Thek hai. Chalte hai. Par Siddharth kya tujhe lagta hai, ke vo sab bhulna aasaan hai??
Sid: Nahi bilkul nhi. Mai un cheezo ko apne dimag se nikal nhi paa raha hu to, tere liye to bahot zyada mushkil hai. Tu ne to vo sab jiya hai.
     Sana rested her head on his shoulder.
Sana : Par mai vo sab bhulna chahti hu baby...
       Sid pulled her closer to his heart
Sid: Mai hu na....Mai tujhe itna pyar dunga na baby ke tu vo dard bhul jaayegi. I promise.
Sana: Mujhe pata hai.
Sid: Thank you...
Sana: Kyu??
Sid: Mujhpe trust karne ke liye. Vaise Sana maaji kaisi hai?? Bittu bhaiya se baat hue??
Sana: Unki tabiyat din ba din bigadti jaa rahi hai. Bittu bhaiya keh rahe the ke vo bahot taklif me hai.
Sid: Tu chahe to hum chalte hai unse milne.
Sana: Hmmm dekhte hai.
Sid: Jaana, tu chahti to unko unke bete ke baare me bata sakti the. Par tune yeh nhi kiya. I'm so proud of you...
Sana: Mai unko bata kar kya hota Siddharth... Vo to jaa chuka tha, aur vo Maa ka dukh bahot bada tha... Unko bol kar kya hasil hota mujhe... Kabhi, kabhi lagta hai, ke uske gunaho ki saza uski Maa ne bhi bugti hai. Pata nhi kitni ladkiyon ko ya logo ko aur thaga tha usne...
Sid: Hmmm. Chal chod jaane de......Mai Zovi ko dekh kar aata hu. Kab se so rahi hai.
Sana: Siddharth sone de usse. Ek to Tu ghar par hoga to vo jaldi soti nhi hai. Aur agar vo soti hai, to tujhe chain nhi padta.
Sid: Ek baar dekh aata hu Jaana, please.
    Sid left and Sana shook her head resigning.
     Sid and Sana had left early the next morning. Sid had taken her to lonavala. He had arranged and booked the same room, where they had spend such beautiful time together seven years back. Sana was happy as she had snuggled into his arms. They had talked, made love, took bath together, ate. Sana was enjoying herself, but she knew Sid was dying to order a cake for her. He was not doing that because he had promised they will spend the day as she wishes and he had done just that up till now. Sana had let Zoro celebrate her birthday last year. Then why can't she let Sid do it too.
Sana: Siddharth, mera cake kaha hai?? Mere liye order nhi kiya??
     Sid was happy as if a kid has been offered his favourite ice cream.
Sid: Sach jaana?? Mangva du??
Sana: Nahi ruk. Ek kaam karte hai. Ghar chalte hai. Di aur Bhai ko bhi bulate hai. Maa aur baccho ke sath celebrate karte hai.
Sid: Are you sure baby??
Sana: Chal jaldi time waste mat kar.
    And then Sana celebrated her birthday once again, with her loved ones around her. She was scared that she might see that dream again, but she didn't as she had slept in her husband's arms, feeling all safe and secure.
     Zovi will be a year old next week. And nothing has changed. Sid is still the most loving husband and dad. He still brings unnecessary things for the kids and get bashing from Maa and Sana everytime he does that. He  promises to not do it again, and does it again. Maa is still the best Maa, anyone could ever have. Sana still cannot order food when they go to the restaurant but she still plays all adventurous games in public and make Sid suffer, which results in Sid bringing her to the room and making wild love to her, which she enjoys too much. Zoro still wins video games, with his dad. He has learnt to swim and beats his dad in the race. Zovi still has her dad wrapped around her little finger. And Sid calls and treats her like his little princess.
     Sid and Sana love each other exactly how they are and in the process they have transformed them into a better version of themselves. His family is the world to Sid. He has gained success, but wherever he may be, he just wants to rush home. To his family, to his world. And Sana never has to say  " YOU NEVER ASKED " Again.

     So here's the end of yet another Journey. We had such beautiful moments together, where we discussed our darlings Sidnaaz, their pain, their emotions and their everlasting love. I hope and prayer that they get this everlasting love in their real life too.
   Will be very soon coming with yet another fiction of our sweethearts. Wait for me. Love you all❤❤

Ps: I suggest you read this story once again in one go. I know you will enjoy it. 😘😘

You Never Asked  (Completed) Where stories live. Discover now