Chapter 17

1.7K 82 56
                                    

Dev and Ananya are sitting in the front of holy fire and in front of them a picture with garland is kept.

Priest-"Ab aap dono inke atma ki shanti ke liye prathna kijiye"

They look at the picture with teary eyes.

Flashback  starts

"partner Mujhe ek baat samajh me nhi ayi ,aapki family ke bare me fairies ko kaise nhi pta .I mean wo to apke sath bachpan se rehti hai na"asked vivan to dev who is packing his clothes to shift in his house in the evening of Raksha Bandhan.
Dev-"nhi chote. mere bachpan me ye pariya nhi thi. Pariya mujhse bahut choti hai"

Vivan- Kyaa? fairies aapse choti hai.per dikhne me to bari lagti hai"

Dev-"pariya mujhse hi nhi balki tumse bhi choti hai chote"

Vivan-"kya mazak kar rahe ho partner"

Dev-"No mai mazak nhi kar rha "
Vivan-"matlab masti pari,pani pari,jwala pari  aur baki sab jo mummy ke height jitni lambi hai wo sab mujhse choti hai.kuch bhi?

Dev-"Kuch bhi nhi sach. Iss sansar me har jeev ka janam lene ka ,bada hone ka ,aur marne ka alag tarika hota hai. jaise birds eggs se janam leti hai, Tortoise 200-300 salo tak zinda rehta hai wahi kai jeev aise hai jo kuch mahino me hi mar jate hai.kuch ko adult hone me salo lagta hai to kuch bahut kam waqt me adult ho jate hai.Har kisi ke jeene ka apna tarika hota .Hum sab ko humans se compare nhi kar sakte "

Vivan-"Matlab pariya insan nhi hai"😱😱😱
Dev-"nhi pariya pariya hai .
Vivan(excitedly)-"matlab mai un sab se bada hu.to mai pariyo ko tum keh kar bula skata hu. Aur wo mujhe Aap kahengi"
Dev(sternly)-"nhi"
Vivan-"kyu nhi ?"
Dev(pulling his ears)-"issliye kyuki pariya umr me tumse choti hai per wo adult hai jo tum nhi ho .Humans ko 18 years ke baad adult mana jata hai jabki pariya janam lete hi adult ban jati hai"

Vivan-"ouch partner dard ho raha hai.
Dev leave his ears and again start his packing.
Vivan-"pariyo ka janam kaise hua. Aur inke parents kaha hai.  mujhe puri story janni hai.

Dev-"pariyo energy source hai Vivan .Jab Pari lok ka ant ho jane ke baad Pariya veer lok me surakshit thi per timnasa ne dokhe se ek ek pari ko veer lok se bahar nikal khatam karna suru kiya .Veer lok se bahar  jane se pehle kai pariyo ne apni urja ko veer lok me safely rakh diya tha.Aur jab mujhe hosh aya to maine pari tara ko jagrit kar ke un urjao sakar roop diya.

Vivan-"Matlab aap pariyo ke papa ho"

Dev-"kya?????
He starts laughing at his statement

Dev-" inke papa nhi hote .ye keval ek ansh se banti hai.
Vivan look at him confused still not able to understand him.

Dev- jaise insan do ansh se mil kar banta hai..Ek mummy ka ek papa ka .waise hi kai living things hote hai jo keval ek ansh se hi bante hai. Ye do logo ke ansh se nhi ban sakte bilkul waise hi jaise koi bhi insan kisi ek ke ansh se nhi ban...

He stop in the middle thinking something.
Vivan-"kya hua partner ?
Dev(thinking something)-"kuch nhi"

Ananya-"tumhari packing ho gyi?
Dev-"ha. Ab bas jaa hi rha hu"
Vivan(emotionally)-"Aapko bahut miss karunga partner.

Dev-"mai bhi chote.yaha rehna bahut miss karunga"
Ananya-"tum dono to aise react kar rahe ho jaise dabbu ki vidai ho rhi hai.pass me hi to jaa rha hai.
However she acted that she is not affected by his leaving ,deep down she knows that she is going to miss him badly.

Dev-"to tum mujhe miss nhi karne wali"
Ananya-"Mai kyu miss karungi? In fact achha hi hai tum dusre ghar me rahoge to daily- daily mere room me aa kar mujhe irritate bhi nhi karoge .Tumse baar baar milna bhi nhi hoga.sara din tumhari ye stupid face bhi nhi dekhna parega"

Her words are not matching with her emotions .
Dev-" itne achhe din nhi ane wale hai tumhare.tumhe irritate karne mai special time nikal kar aaunga .Abhi chalta hu.Bye."

At night

Manav and Mehar  are talking about their childhood memories while Dev is lost somewhere else.
Dev-"mujhe ek kaam hai mai abhi ata hu"
Mehar-"itni raat ko kya kaam hai ballu"
Dev-"hai ek jaruri kaam "
saying this he leaves from there
Mehar-"abhi  kya kaam hoga"
Manav-"jaruri thori hai ki hoga ,koi hogi ballu ki jaruri kaam.
Both of them start laughing.

In Ananya's room.

Ananya' sleep is disturbed by some sound. She opens her eyes and found that someone is standing in the dark outside the window
Ananya-"kaun hai"
"shhh mai hu dhire bolo"said he.
"Dabbu" she said recognising his voice .She looked at her mother who also wakes up but pretend to sleep. making sure that she is asleep,she slowly come near window ,without making noise.
Ananya(whispers)-"iss waqt yaha kya kar rahe ho"
Dev(whispering)-"tumhare liye surprise hai"
Ananya-"aaj Raksha bandhan hai.friendship day nhi jo tum mujhe surprise de rahe ho"
Dev-"raat ke ek baaj rahe hai. Raksha Bandhan khatm ho gya hai.

Ananya(excited)-"surprise kya hai?
Dev-"shhhhhhh dhire.chalo mere sath .dikhata hu"

Ananya-"Ok"
saying this she jump from the window .
After both of them leave from there devaki ji sits up excitingly.

Devaki ji-"sara din to sabke samne ladte rehte hai. aur raat ko chup chup kar milte hai.🤭🤭🤭


So how was the chapter?

I am not a bio student aur na hi mujhe bio pasand hai.per jo padha tha aur jaha tak mujhe yaad hai Kuch species self reproduce kar jate hai.
Same thing with fairies,they are basically different type of species which is not found on earth.

Some logic in the most illogical thing .😁😁

Ab se kuch dino tak story flashback me hi chalegi aur all these is related to Devanya marriage.

Kiski photo per haar hai?

Kaha gye hai Devanya.











KUCH TO HAI TERE MERE DARMIYAN-SEASON 2Where stories live. Discover now