112. Mini's emotions residing in her diary entries.

79 7 5
                                    

Neil: (in mind) Tab se plan tha Mini ka.. OMG.... (looking at Mini) Underestimate kar liya hai tumko maine... kam planning nahi ho tum bhi...

He turned the page ahead.

"Hiiiii Dear Diary... Pata hai mujhe ki kitne dino baad baat kar rahi hu tujhse par kya karu yaar... Delhi gayi thi na... tujhse baat hi nahi ho paayi... but you know what ab Main teri single friend Ms Mini Babita nahi rahi... ab to main Neil ki Mini hu.... Kitna pyaara lagta hai na sunne me.... ha ha proposal ho gaya... I am so so happy.... Maine hi propose kiya vo bhi uske 30th birthday pe... But it was so beautiful experience yaar.... Main bata bhi nahi sakti ki main kitni khush hu... Neil vaise to proposal se pehle bhi mujhe dekhke kayi baar kho jaata tha par.... Tujhe pata hai jab vo proposal ke baad itne pyaar se meri taraf dekhta hai na... man titliyaan si feel hoti hai mujhe.... pet me gudgudi hone lagti hai... Itne se dino me life ne itna bada mod liya hai na.... ki yeh khushi sama nahi rahi hai mere andar.... Delhi me hamara saath ka har ek pal likhne baith gayi to kya pata puri raat nikal jaaye usko sochte sochte... lekin phir bhi aaj bed pe letkar hi sahi par likhne ka man hai mera at least jab tak so nahi jaati main... ek ek pal andar tak man me sukoon la deta hai mere..." 

Neil's lips curved more and more automatically.

"Kitne haseen aur khubsoorat pal humne saath me bitaye.... Neil ka raaste me yun befikr hokar gaana.... pahoch jaane par mujhe comfort karna..... apni maa ka room mujhe de dena.... mujhe chot lag jaane pe itna pyaar se meri care karna.... Apne aap ko uss low phase se overcome karta hua feel karke mere paas aake confess karne ki koshish karna.... mujhe apna sapna samajhte hue guitar bajaana.... phir mere liye ek baar phir guitar bajaate hue apne man ki baat kehne ki koshish karna.... itne pyaar se mujhe dekhte rehna.... mere piano bajaane pe khud guitar bajaate hue uss dhun uss gaane me kho jaana.... mujhe chot na lage isiliye khud garam bartan utha lena.... mujhe uski care karta hua dekhkar mere se vo innocent sa flirt karna.... Uske birthday pe uske liye saari preparations karke.... Vo flowery decorations aur envelopes ready karke..... Uske aane ka message padhkar saari lights band karke uska intezaar karna.... uske aa jaane pe lawn ki lights on karke sab kuch picture perfect set karke chupke se music room me aa jaana...."

Neil was surprised as he hadn't realised it so far that, he didn't noticed on the day, that the lights were off when he reached and the lawn was brightly lit up when he came down.  

"Tujhe pata hai... jab maine usko room me aate hue dekha na... to itni sharam aa rahi thi mujhe ki nazrein hi nahi mila paa rahi thi... nazrein jhuka ke piano bajaate hue gaate waqt sirf inta feel karke ki usne mere peeche khade hokar mere kandhon pe apna haath hi rakha tha.... muskurahat tak control nahi kar paa rahi thi main..... uska chehra jab mere chehre ke bilkul side me tha to itni si nazdeeki se dil ki dhadkane badh gayi thi meri.... it was me who had initiated but still.... jab uske gaal pe mere honth se touch hue.... aur uske baad jab uske honth mere forehead se touch hue.... tab ek alag sa ehsaas tha vo.... but it was beautiful... it was an enchanting moment for us because our closeness was increasing in a slow and comforting pace.... 

Neil blushed lightly while reading it.

"Phir jab time aaya Neil se directly.... bina shabdon se khele sidhe sidhe apne man ki baat kehne ki to ajeeb se ghabrahat hone lagi thi.... after all it was my first time yaar.... thodi nervousness to hogi na.... uske haath ka warmth bhi itna comforting tha ki main bol paayi apne man ki baat bina hesitate kiye... bina awkward hue... itna khush ho gaya vo ki aansu tak nahi rok paaya... gala bhar aaya aur uske bina kuch bole bhi bahot kuch keh diya usne apne gale lagaakar.... mujhe apni Maa ki payalein di usne... jo unko uske dad ne di thi... iss promise ke saath ki vo unki aakhri saans tak unke saath rahenge... Uski aankhein bhi mujhe yahi keh rahi thi jab vo bata raha tha mujhe.... ki vo bhi mera hi rahega mere saath hi.... uski aakhri saans tak... phir usne jab apne man ki baatein boli.... apni feelings confess ki mujhse... to mujhe vo fulfillment bahot cherishing lagi... uske paas uske saath uske kareeb hona meri khushnaseebi si lagi... itni shiddat hai uske pyaar me ki main khud ko uske paas hoke fortunate feel karne lagi hu ki uska yeh pyaar hai mere naseeb me...."

Meetha sa Ruhani ISHQWhere stories live. Discover now