65. Best Friends Wale Fights

617 63 54
                                    

Ram and Priya both had disturbed sleep that night. Priya's sleep broke multiple times whereas Ram barely slept all night. The pain of the heartbreak didn't let Priya sleep whereas extreme guilt kept Ram up all night.

Priya woke up with a bad headache. She somehow managed to brush her teeth and went downstairs to make some tea for herself.

Tarun saw Priya coming while pressing her forehead. She straight went to the kitchen. So he followed her.

Tarun: Bhabhi chai bana doon?

Priya: Nahi Tarun. Main kar lungi. Thank you

Tarun: Aapka sar dard kar raha hai main bana deta hoon. Aap baithiye.

Tarun had seen her cry yesterday multiple times and it broke his heart to see her like that so he wanted to take care of her. He knew that something happened that night Ram came home with Adi and Brinda because after that night his Bhabhi stopped smiling.

As the pain felt too much to handle Priya just nodded. Tarun started making some tea for her.

Priya: Tarun mujhe kuch baat karni thi tumse.

Tarun stopped whatever he was doing and looked at her.

Priya: I'm sorry. Pihu ne kal jo kiya bilkul thik nahi tha.

Tarun became confused.

Tarun: Pihu baby ne kya kiya?

Priya: Woh jo tumhe kaha ke Papa ko bolo mujhe baat nahi karni...uss baare mein bol rahi hoon.

Tarun: Ohhh...Bhabhi it's okay. Kuch bhi nahi tha. Pihu baby gussa thi toh bol diya.

Priya: Nahi Tarun. Woh nahi kar sakti aise. Bohot galat hai aur tum na inn sab baaton ko encourage nahi karna chahiye. Woh choti hai iska matlab yeh nahi hai ke kuch bhi karegi aur hum sabko maan lena hai. Agar Pihu galti kare toh usse samjhana hoga. Aur yeh responsibility tumhari bhi hai.

Tarun nodded lowering his head.

Priya: I'm sorry.

Tarun: Nahi nahi aap aise kyun...

Priya: Tarun...please meri baat samajhne ki koshish karo. Pihu ko kal hi tumhe bolna chahiye tha waha hi ke aise na kare. Aur yeh bilkul mat samajhna ke tumhara koi haq nahi hai usne daantne ka ya samjhane ka. Haan Pihu samajh jaati hai agar pyaar se samjhaya jaaye toh. Usse haq se bolo. Mujhe jis haq se bhabhi bulate ho ussi haq se.

Tarun felt his eyes getting moist.

Priya: Tumne baat ko tal diya woh bachhi hai isliye par mujhe bura laga. Pihu tumhe aise kaha isliye. Haan Pihu choti hai nahi samajhti itna sab kuch par woh aise behave nahi kar sakti. Hum mein se kisi ke saath bhi nahi. Aur Tarun main nahi chahti meri bachhi aise lad pyaar mein beh jaaye. Main chahti hoon woh sabki respect kare, ek achhi insaan bane aur main chahti hoon tum meri help karo ismein. Pihu ko na bolna shikhna hoga tumhe Tarun. Aur tum chinta mat karna koi tumhe kuch nahi bolega. Samajh rahe ho na?

Tarun nodded with his tears almost ready to roll down his eyes.

Priya: Aur haan ek baat aur...main chahti hoon Pihu tumhe sirf Tarun nahi Tarun uncle bulaye. Par main usse yeh bolke se pehle tumse baat karna chahti thi.

Tarun blinked back his tears in a jiffy and looked at her being a little confused.

Tarun: Kyun? Pihu baby toh mujhe pyaar se Tarun bulati hai aur maine hi usse bola tha.

Priya: I know tum ne hi bola tha aur mujhe bhi tab hi mana karna chahiye tha. Tarun aaj shayad yeh cute lagg raha hai par hai nahi. Pihu ko sabki respect karni chahiye unki age ka khayal rakhna chahiye.

Little Hearts❤❤❤Tempat cerita menjadi hidup. Temukan sekarang