Chapter 44

5.4K 583 43
                                    

Hamesha Wala Pyaar – Chapter 44

“Ho gaya tera? Ab jo main bol rahi hu usko dhyaan se sun” her voice felt dry, emotionless.

It scared him, but he held his phone listening carefully as she had instructed.

“Uss din maine tujhe yehi sab batane ki koshish ki thi” she started, but he interrupted

“Yes baby I know meri galati ho gayi” he spoke

“Jab tune baat ki, maine suna, ab agar tune mere bich mein baat ki toh main phone cut kar dungi” she lashed back.

“Accha sorry please bol” he spoke, frightened with her cold tone.

“Main uss din tere saamne royi, minnate ki tere aage haath jodke, ki jaisa tu samajh raha hai waisa kuch nahi hai, but tune mera kuch nahi suna.

Maine tujhe kaha ki agar mujhe kisine touch kiya hoga toh mujhe realize hoga, but tune nahi suna.

Maine tujhe bataya ki mujhe kuch chubha tha, shayad kuch kiya unhone, but tune nahi suna.

Tune mujhe promise kiya tha ki tu hamesha mujh pe trust karega, but tune unpe zyada trust kiya, mere pe nahi.

Gusse mein aag baboola hoke tune mere liye itni gandi baatein nikal di, mujhe teri uss Meghna se bhi niche laake khada kar diya, mere pyaar ka mazaak banaya tune, insult kiya mere emotions ko.

Maine tujhe apna sab kuch maan liya, tujhe saare haq de diye apne pe, aur tune kya kiya? Ek minute mein mere character pe sawaal uthaake mujhe beizzat kiya.” She spoke breathlessly.

“Hum chhote sheher ki ladkiya na Sidharth, sapne bohot dekhti hai, unko pura karne ke liye mehnat bhi karti hai, but kahi na kahi hamari parvarish hamare mein sharam, lihaaz, tameez, tehzeeb koot koot ke bhar deti hai.

Tum bade shehron wale logo ki tarah aadhi nangi taange leke ghoomna, no strings ki aad mein harr kisike saath so jana, yeh sab nahi hai hamare khoon mein.

Isliye time laga mujhe tujhe itne kareeb aane dene ko, kyuki mujhe pata tha, jab bhi yeh hoga toh woh mere liye hamesha wala hi hoga.

Mere liye mera Hamesha wala pyaar tu hi tha.

Aap bohot bade writer ho, shayad aapko meri yeh lines ekdum cheesy lage, but mere liye tu boyfriend se ek kadam aage, aur pati se ek kadam piche tha.

Tere haath mein puri life de di thi maine, aur tune kya kiya? Usko utha ke kachre mein fek diya apne gusse mein.

Ek baar bhi nahi socha ki kya meri Shehnaaz aisa kar sakti hai?

Tune agar ek baar bhi mera yakeen kiya hota toh aaj hum iss point pe nahi khade hote.” She hurled her hurt on him in one long rant.

“But chalo, jo ho gaya, ho gaya. Shukar hai tujhe asliyat ka pata lag gaya, ab shayad main chain se jee paungi yeh soch ke ki main galat nahi thi.

Aur mujhe teri asliyat ka pata chal gaya, aur main zindagi bhar dukhi rahungi yeh soch ke ki mere pyaar mein shayad koi kami reh gayi ki tera yakeen, tera bharosa bhi naseeb nahi hua mujhe” She fell silent.

“Baby I agree to all of this, meri galati hui, maine bohot bada blunder kar diya, I am sorry but I want you back Shehnaaz, I will make it up to you I promise” he spoke feebly

“tu kaha hai jaan? Tu safe toh hai na? please mujhe ek baar mil” he pleaded followed by a gut wrenching sob.

“ Tujhe kya laga, tu bakwaas karega fir sorry bolega aur main chup chaap tere piche chal padungi?

Sorry Mr. Shukla, Ab kuch nahi ho sakta, jo tha woh khatam ho gaya, nahi main tujhe firse pyaar kar paungi, aur nahi kabhi teri izzat kar paungi. Tu mujhe maaf kar de.” She spoke icily.

Hamesha Wala Pyaar (Completed)Wo Geschichten leben. Entdecke jetzt