Happy anniversary

2.3K 336 220
                                    


"Yeh sab kya tha? Iss tarah door hoke anniversary manate hain? Tumhe anadaza bhi hai mujhe subah se kitni takleef hui... aisa lag raha tha main saans bhi nahi le paa raha hun." Sameer said breathlessly after a kiss that had to be ended only when they almost fainted.

"Saans toh abhi bhi nahi le paa rahe." Naina chuckled, also panting for breath.

He wrapped her in a bone crushing hug, "Aise saans ukhad jaane ko hi toh taras raha tha. Aur ek tum ho... ghar mein tumhare bina aisa lag raha tha jaise meri saari duniya veeran ho gayi. Yeh jaante hue bhi ki main tumse kitna pyar karta hun tum ek baar saamne tak nahi aayi."

Settled in the warm cocoon of his arms, she whispered against his neck, "Saalon purana ek hisaab baaki tha... woh poora kar rahi thi."

Perplexed, Sameer lifted his head to look at her, "Hisaab? Kaunsa?"

"Tumne meri nazron ke saamne rehte hue kabhi nazar nahi milai mujhse... maine do saal intezar kiya... tumhe toh sirf kuch ghanto ka intezar karna pada." She gazed into his eyes, speaking in a husky voice.

His eyes filled up with guilt again.

She cupped his face, and pecked his lips, "Maine yeh sab isliye kiya jisse tumhari aankhon mein dubara yeh pachtava na aaye. Ab hamara hisaab barabar ho gaya... tumne mujhe sataya, maine tumhe. Fir kabhi uss waqt ke liye dukhi mat hona."

He stared at her, stunned. Then his eyes softened. Leaning ahead, he took her for another kiss... invigorated by her effort to rid him of his guilt.

"Chodo ab mujhe change karne do. Pehle jaisi nahi hun. Bohot tight hai yeh uniform... badi mushkil se pehni hai." She remarked after a while.

"Nahi." He said quickly, pulling her closer, "Tumhare bina subah toh hui par meri zindagi tham gayi thi. Aisa lag raha tha koi chahat, koi ahsaas hi nahi rahe mujhmein... bejaan ho gaya tha. Lekin tumhari shayari ne dil ko fir se dhadkan di. Naina, har kagaz mein jaise tumhara dil dhadak raha tha... sivay uss alu paranthe wale ke."

She frowned at his smirk, "Usmein tumhare pet ke choohe kud rahe the. Mujhe pata tha khaoge nahi lekin bhook bhi bardasht nahi hogi, isliye likha tha."

"Bohot pyara tha, jaan. Main mazak kar raha tha." He cupped her face, holding her tighter when she tried to get away.

"Ruko na, Naina. Iss uniform mein kitni achhi lag rahi ho. Dekhne do, abhi maine theek se dekha kahan hai tumhe. " He insisted.

"Chup chup ke hi sahi, do saal dekha toh tha tumne school mein." She teased.

The glint in his eyes made her heart lose a beat, "Tab aise nahi dekh sakta tha... chahte hue bhi."

Her cheeks coloured with a deep hue when he stepped back and lazily let his gaze hover on her, lingering unabashed wherever he wanted.

"Hato. School mein the tum." She turned away from his intent eyes.

"Ab nahi hun." He held her wrist, making her swirl and fall in his arms again, "Ab meri biwi ho tum. Jaise chahu dekh sakta hun... jo chahu kar sakta hun. Mere paas raho, jaan, subah se tumhe dekhne ke intezar mein dil sookh gaya hai... usse wapas theek karne ke liye bohot mehnat karni padegi."

He peppered her face with desperate kisses, while his hands roamed over her form, searching for the feel of her skin.

He lifted his face from her neck shortly, exasperated, "Yeh kya hai, Naina? Ismein toh koi button ya zip hain hi nahi. Isse kaise nikalte hain?"

"Buddhu, isme hook hote hain. Lekin woh main tumhe nahi batane wali. Jaane do, mujhe change karna hai." She chuckled.

"Main bhi chalta hun. Kar lo change. Mujhse kya sharmana." He started to walk towards the room, keeping her in firm hold.

Kabhi Toh Nazar Milao Part 3जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें